ज़िक्र-ए-दुनिया है या फ़िक्र-ए-रोज़गार
मोहब्बत में अब चाँद सितारों की बातें कहाँ
****************************
Apni Manzil Pe Pohanchna Kisi Moaj’zey Se Kam Nahi
Raah-Guzar Pathar K Hai" Aur HumSafar Sheeshey Ka.
***************************
Kaash Kabhi Tum Parrh Paatey
Khamosh si Ye Guftugu Meri..!
******************************
Socho toh silwaton se bhari hai tamaam rooh
Dekho toh shikan bhi nahi hai libaas mein...!
*****************************
Teri nigaahn ne kya kah diya khudaa jaane
Palat ke rakh diye baadaakasho ne Peymane..
-Parwaz Naseer
******************************
Nigahoon se qatal kar dalo, Na ho takleef dono ko..!!
Tumhein khanjar uthaney ki, Humein Gardan jhukane ki
******************************
Gungunati huyi aati hai falak se boondein...!
Koi badal teri paazeib se takraya hai shayad
******************************
ab khwaab nahin koii phir zeesT ka kya karna_____
Har subah ko jee uthna_ har raaT ko mar jana
No comments:
Post a Comment