Monday, August 29, 2011



Jab Bhi Kisi Nigah Ne Mausam Sajaye Hain
Tere Labon Ke Phool Bahut Yaad Aaye Hain

Nikle The Jab Safar Pe To Mehdood* Tha Jahan
Teri Talash Ne Kai Aalam Dikhaye Hain

Rishto Ka Aitbar, Wafaon Ka Intezar
Hum Bhi Chirag Le Ke Hawaon Mein Aaye Hain

Raston Ke Naam, Waqt Ke Chehre Badal Gaye
Ab Kya Batayein Kisko Kahan Chhor Aaye Hain

Ae Sham Ke Farishto Zara Dekh Ke Chalo
Bachon Ne Sahilon Per Gharondey Banaye Hain

- Nida Fazli

*Mehdood = Seemit, Limited



Yaad Ab Khud Ko Aa Rahe Hain Hum
Kuch Dino Tak Khuda Rahe Hain Hum

Aarjuon Ke Surkh Phoolon Se
Dil Ki Basti Saza Rahe Hain Hum

Aaj To Apni Khamoshi Mein Bhi
Teri Aawaz Pa Rahe Hain Hum

Baat Kya Hai Ki Fir Zamaane Ko
Yaad Reh-Reh Ke Aa Rahe Hain Hum

Ab Hume Dekh Bhi Na Paoge
Itne Nazdeek Aa Rahe Hain Hum

Muddaton Ke Baat Dhup Nikli Hai
Geele Zazbe Sukha Rahe Hain Hum

- Bashir Badr


Sunday, August 28, 2011




Dono jahaan terii mohabbat mein haar ke
Wo jaa rahaa hai koii shab-e-gam guzaar ke

Viiraan hai maikadaa khum-o-saagar udaas hai
Tum kyaa gaye ke ruuth gaye din bahaar ke

Ik fursat-e-gunaah milii, wo bhii chaar din
Dekhe haiin ham ne hausale parvar-digaar ke

Duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
Tujh se bhii dil fareb hain gam rozagaar ke

Bhuule se muskuraa to diye the wo aaj 'Faiz'
Mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke

~ Faiz Ahmed Faiz 
 

न मंदिर में सनम होते, न मस्जिद में खुदा होता
हमीं से यह तमाशा है, न हम होते तो क्या होता

न ऎसी मंजिलें होतीं, न ऐसा रास्ता होता
संभल कर हम ज़रा चलते तो आलम ज़ेर-ए-पा होता

घटा छाती, बहार आती, तुम्हारा तज़किरा होता
फिर उसके बाद गुल खिलते कि ज़ख्म-ए-दिल हरा होता

बुला कर तुमने महफ़िल में हमको गैरों से उठवाया
हमीं खुद उठ गए होते, इशारा कर दिया होता

तेरे अहबाब तुझसे मिल के भी मायूस लॉट गए
तुझे नौशाद कैसी चुप लगी थी कुछ कहा होता

-
नौशाद




Barish ki tarah boondon ne jub dastak di darwaze per,
Mahsoos howa tum aaye ho, andaaz tumhare jesa tha,

Hawa k halke jhonke ne jub aahat ki khirrki per,
Mahsoos howa tum chalte ho, andaaz tumhare jesa tha,

Main ne boondon ko apne haath per tapkaya to,
Aik sard sa ehsaas howa, lams tumhare jesa tha,

Main tanha chala jub barish main aik jhonke ne saath dia,
Main samjha tum saath ho mere ehsaas tumhare jesa tha,

Phir ruk gai wo barish bhi rahi na baaqi aahat bhi,
Main samjha mujhe tum chorr gaye, andaaz tumhare jesa tha...!





Nayi-Nayi Poshaak Badalkar Mausam Aate Jate Hain
Phool Kahan Jate Hain Jab Bhi Jate Hain Laut Aate Hain



Shayad Kuch Din Aur Lagenge Zakhm-E-Dil Ke Bharne Mein
Jo Aksar Yaad Aate The Vo Kabhi-Kabhi Yaad Aate Hain



Is Dharti Per Aakar Sabka Apna Kuch Kho Jata
Kuch Rote Hain Kuch Is Gham Se Apni Ghazal Sajate Hai



- Nida Fazli 

 

Ilzam Bewafai Ke Unko De Raha Hoon
Shak Ho Raha Hai Mujhko Main Khud Hi Bewafa Hoon


Har Jism-E-Gulfaroshan Ab Markaj-E-Nazar Mein
Tumse Bichad Ke Kitna Aawara Ho Gaya Hoon


Is Sham-E-Bekasi Mein Dil Ki Khabar Nahi
Kab Se Kahan-Kahan Main Aaj Ro Pada Hoon


Is Lamha-E-Khushi Mein Afshana-E-Shab-E-Gham
Kuch Tum Bhi Bhulte Ho, Kuch Main Bhi Bhulta Hoon


- Bashir Badr 

 



दुआ करो की ये पौधा सदा हरा ही लगे
उदासियों से भी ये चेहरा खिला खिला ही लगे
ये चाँद तारो का नहीं उसी का हिस्सा है
कोई जो दूसरा हो तो दूसरा ही लगे
नहीं है मेरे मुकद्दर में रौशनी न सही
ये खिड़की खोलो सुबह की हवा ही लगे
अजीब शख्स है नाराज़ होके हँसता है
मैं चाहता हूँ खफा वो है तो खफा ही लगे
दुआ करो की ये पौधा सदा हरा ही लगे
~ बशीर बद्र 


Thursday, August 25, 2011



Bahut Muddat Ke Baad Kal Jab
Kitab-E-Zindagi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se Naamon Pe Dil Machla,
Ek Aisa Safa Bhi Aisa Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska Naam Dost Tha,
Jo Safa Sabse Pyaara Aur Aziz Tha,
Kuch Aur Aansu Ispe Tapke,

Kitab-E-Zindagi Ko Band Kar Ke
Tumhari Yaadon Mein Kho Gayi Main,
Agar Tu Milta To Kya Hota,
Inhi Khayalon Main So Gayi Main... 
 
 


Pathar tha magar barf ke golon ki tarha tha

Ek shaks andheron mein ujalon ki tarha tha

Khawabon ki tarha tha na khayalon ki tarha tha

Wo ilm-e-riazi ke sawalon ki tarha tha

Uljha hua aisa k kabhi hal ho nahi paya

Suljha hua aisa k misalon ki tarha tha

Wo mil to gaya tha magar apna hi mukadar

Shatrang ki uljhi hui chalon ki tarha tha

Wo rooh mein khushboo ki tarha ho gaya tehleel

Jo door bohut...chand ke halon ki tarha tha 

Lahuluhaan pada tha zameeen pe ik sooraj,
Parinde apne paron se hawaein karne lage!

Zameen pe aa gaye ankhon se toot kar aansu,
Buri khabar hai, farishte khataein karne lage!

~Rahat Indori



Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin,
Log rukhsat hue kab yaad nahin.

[rukhsat = to leave]

Dil mein har waqt chubhan rahati thi,
Thii mujhe kis kii talab yaad nahin.

[talab = desire]

Woh sitaaraa thii ke shabanam thii ke phuul,
Ik suurat thii ajab yaad nahin.

[shabanam = dew]

Aaisaa ulajhaa hun gam-e-duniyaa mein,
Ek bhii Khawab-e-tarab yaad nahin.

[tarab = joy]

Bhuulate jaate hain maazii ke dayaar,
Yaad aayein bhii to sab yaad nahin.

[maazii = past; dayaar = place/residence]

Ye haqiiqat hai ke ahabaab ko ham,
Yaad hii kab the ke ab yaad nahin.

[haqiiqat = reality; ahabaab (plural of habiib) = friends]

Yaad hai sair-e-charaagaan "Nasir",
Diye ke bujhane kaa sabab yaad nahin.



Sulag raha hai mera shehar, jal rahi hai hawaa,
Ye kaisi aag hai jisme pighal rahi hai hawaa.

Ye kon bagh main khanzar-badast phirtaa hai,
Ye kiske khouf se chehra badal rahi hai hawaa.

Shareek ho gayi sazish main kiske kehne par,
Ye kiske qatl pe ab haath mal rahi hai hawaa.

Parinde sehme huye hain, darakht khoufzadaa,
Ye kis irade se ghar se nikal rahi hai hawaa.

~ Parveen Shakir


दुनिया




दर्द सीने में हो तो फिर नगमों की जरूरत क्या है |
जिन्दगी हकीकत है तो किस्सों की जरूरत क्या है |

गर आंसूं आँख में है तो खुद ग़ज़ल है इन्सां |
एहसास साथ हों तो शेरों की जरूरत क्या है |

गौर से देखो तो सूरज से बड़ी है दुनिया |
फिर भी काली अंधेरों में पड़ी है दुनिया |

राज़ को कैद किया जब - जब इन्सां ने यहाँ |
बंद तालाब में घुट - घुट के सड़ी है दुनिया |

इसको बनाने में तो मेहनत गरीबों की हुई |
फिर भी अमीरों के पाँव में पड़ी है दुनिया |

जिनकी बात मानकर सब सच कहा था हमने |
आज उसी इन्सां के पक्ष में खड़ी है दुनिया |

सपनों के एहसास तो हैं नर्म मखमल जैसे |
कैसे गुजरेगी सख्त पत्थर जैसी है दुनिया |


Sunday, August 21, 2011




Abhi toh mil ke chalna hai samandar ki musafat mein,
Phir aagey chal ke dekhenge kinara kaun kerta hai !




Aik aisa shakhs bhi hai meri zeest mein MOHSIN,
Jo meri umar hai, aur main uss ka lamha bhi nahi !






Parda toh hosh walon se kiya jata hai, 
Be naqaab chaley aao hum toh nashey mein hain.






Mujhe garaz kisi se bhi nahi, mujhe kaam apne kaam se,
Tere zikr se, Teri fikr se, Teri yaad se, Tere naam se.




Main ne dariya se seekhi hai paani ki parda-daari,
Oopar oopar hanste rehna, gehrai main ro laina!



Mat de hamaein khush rehne ki dua 'Mohsin',
Hum khushian rakhtay nahi, baant dia karte hain.




Kis tarah samjhaon ye baat ehl-e-duniya ko,

Teri talash ko duniya awaargi samajh bethi.





Wo aalam aur hi hai jisme meethi neend aa jaye,
Khushi aur gum me sone ke liye raatein nahi hoti.




पलकों से जो पकड़ूं मोती, नैना दे बिखराए । 
नैनों में जो बात छुपाऊं, पलकों से बह जाए ।।

Saturday, August 20, 2011


Qabl Iss Keh Ye Saara Silsila Be-naam Ho Jaaye
....Ye Qissa Hai Adhoora Iss Ka Kuch Anjam Ho Jaaye

....Zara Socho Kahani Mein Faqat Kirdaar Hum Tum Hon
....Suhaaney Raston Pay Chaltey Chaltey Shaam Ho Jaay

....Na Yoon Har Ekk Ko Daikha Ker Ke Har Dil Khaas Ho Jaaye
....Na Yoon Har Ekk Say Bhicarr Ke.. Aziyat Aam Ho Jaaye

....Hawao! Uss Ki Khushboo Damanon Mein Bhar Ke Ley Aao
....Woh Jo Raston Say Guzrey To Humein Ilhaam Ho Jaaye

....Yehi Dastoor-e-Duniya Hai Yehi Har Baar Hota Hai
....Koi Mash-hoor Ho Jaaye Koi Gumnaam Ho Jaaye .......
अपनी मर्ज़ी से कहाँ अपने सफ़र के हम हैं
रुख हवाओं का जिधर का है, उधर के हम हैं |

पहले हर चीज़ थी अपनी मगर अब लगता है
अपने ही घर में, किसी दूसरे घर के हम हैं |

वक़्त के साथ है मिट्टी का सफ़र सदियों से
किसको मालूम, कहाँ के हैं, किधर के हम हैं |

जिस्म से रूह तलक अपने कई आलम हैं
कभी धरती के, कभी चाँद नगर के हम हैं |

चलते रहते हैं कि चलना है मुसाफ़िर का नसीब
सोचते रहते हैं, किस राहगुज़र के हम हैं |

गिनतियों में ही गिने जाते हैं हर दौर में हम
हर क़लमकार की बेनाम ख़बर के हम हैं |

निदा फ़ाज़ली