Saturday, September 17, 2011

Lehza nahi badla jaata

Hum ke shayar hain siyasat nahi aati humko
Humse munh dekh ke lehza nahi badla jaata.

Aisa lagta hai ke wo bhool gaya hai humko,
Ab kabhi khidki ka parda nahi badla jaata.

Jab rulaaya hai to hasne pe na majboor karo,
Roz beemaar ka nuskha nahi badla jaata.

Umar ek talkh hakikat hai dosto phir bhi
Jitne tum Badle ho Utna nahi badla jaata.

- Munawwar Rana


No comments:

Post a Comment