Nigahon ke tasadum se ajab takraar karta hai.
Yaqin kaamil nahi lekin gumaan hai Pyar karta hai.
Laraz jata hun main ye soch ke kafir na ho jaon,
Tabiyat us ki pooja pe bada israar karti hai.
Usy maloom hai shayed mera dil hai nishanay par,
Labon se kuch nahi kehta nazar se waar karta hai.
Main us se pochta hun khuwab mein,
Mujh se Mohabbat hai.?
Phir aankhain khol deta hun wo jab izhaar karta hai.
No comments:
Post a Comment